Suno Na Chalo Hum Apna Kaha Suna Maaf Karte Hai,
Apne Kho Chuke Pak Rishte Ko Phir Se Aabad Karte Hai.
Bahut Sah Liya Humne Waqt Ke Hathon,
Chalo Ab Ek Hokar Ek Dusre Ki Talwar Bante Hai.
Nadaani Mein Khtayein Ho Jati Hai Mujhse,
Par Tera Har Hukum Seer-Aankhon Par Rkhte Hai.
Teri Ek Muskurahat Shifa Hai Mere Har Gam Ki,
Jabse Tum Badle Ho Raate Bhi Mere Sath Royi Hai.
Read also : Ek Vaade Ka Vaada
Read also : Jindagi Kya Kam Uljhi Hui Thi
Kaun Janta Hai Hum Kab Tak Hai,
Saanse Jo Upar Wale Ne Udhar Di Hai.
Sab Yahin Rah Jana Hai Apna,
Chal Akhirat Ka Apna Ek Mukam Bnate Hain.
Main Janta Hun Tere Dil Ka Haal,
Mera Dil Dukha Kar Tu Bhi Dukhi Hai.
Besak Gairon Ki Lgayi Hai Ye Aag Apne Darmiyan,
Phir Bhi Mujhe Tujh Par Aur Uss Rabb Jaat Par Yakin Hai.
Read also : Tera Hona Na Hona Barabar Sa Ho Gya Hai
Read also : Waqt Ke Sath Badalne Walo Jra Socho
Ek Khwab Hai Mera Tere Sang Jeeene Ka,
Raah Mushkil Hai Par Namumkin Nhi Hai.
Ek Bar Aankhein Band Krke Apne Dil Se Puchho,
Ek Duje Ke Bina Kya Apni Zindagi Hai.
Main Nhi Janta Mere Alfazo Mein Kyun Ab Itni Kami Hai,
Ye Dil Dhadkta Hai Jiske Liye Shayad Wo Pass Nhi Hai.
Aao Mujhe Gale Lga Lo Jane Kis Waqt Aankhein Band Ho Jaye,
Meri Zindagi Ki Fiza Jo Ruthhi Si Hai....
0 Comments
Post a Comment