Wo Dur Kahin Hai Mujhse Par Sath Hai Mere,
Jism Se Na Sahi Dil Se Pass Hai Mere.
Aksar Pukar Leti Hai Wo Mujhe Kisi Bhi Pahar,
Isliye Aankhein Khuli Rhti Hai Neend Hram Hai Mere Liye.

Log Kahte Hain Dikhawa Hai Duniya Mein,
Maine Ek Insaan Ko Bhi Dekha Hai.
Jisko Shayad Koi Matlab Nahi Meri Kisi Chiz Se,
Maine Use Apne Dil Mein Baste Dekha Hai..

Baitha Tha Main Kisi Mahfil Mein Muskura Rha Tha,
Kisi Ne Kaano Mein Dastak Di Jo Tumhara Naam Tha.
Phir Puchha Gya Mujhse Haal Ae Wafaa Bta,
Maine Dur Wahan Ishara Kiya Jahan Khuda Ka Naam Likha Tha.

Kya Tareef Krun Main Us Wfaa Ki,
Jiska Naam Mere Alfazo Par Tha.
Ek Nek Farast Rooh Hai Wo,
Jiska Basera Meri Saanso Mein Tha.

Manjlish Mein Baitha Tha Raat Bhar,
Khuda Ne Puchha Ae Bande Maang Teri Rzaa Kya.
Honthon Se Mere Kuch Na Nikla Bas,
Ae Khuda Use De De Jisme Meri Puri Duniya Hai.

Naadan Si Lagti Hai Mujhe Kbhi Kbhi,
Chamchal Si Uski Adaa Hai.
Jhagadti Bhi Hai Mujhse Daant-ti Bhi Hai Mujhe,
Par Uski Har Niyat Ke Picche Meri Sifaa Hai.

Yakeen Beintehaa Hai Use Mujh Par Or Mujhe Us Par,
Shayad Yahi Hmare Majbut Rishte Ki Wajah Hai,
Darti Hai Beshak Wo Jmane Se Unki Nigaahon Se,
Lekin Uske Har Dar Ke Picche Jeetne Ki Chah Hai,

Uski Aankhon Mein Kabhi Paani Na Aaye Meri Wajah Se,
Khuda Se Meri Bas Yahi Ek Ilteja Hai.
Uske Sare Gamm Main Samet Lun Duniya Ke,
Jo Meri Duniya Ki Fiza Hai...